One Click PF


Sabse pehle ye jaan le PF hai kya ? hota kya hai ?
                           Corporate sector me kaam karne wale sabhi employee ke feature ki surksha ke liye government dwara ek scheme hoti hai jise PF Provident Fund (Bhavishya Nidhi) Kehte hai. Isme jo employee jis company me working me hota hai use uski salary ke basic ka 12% deduct karke usme company ka 3.67% add karke us employee ke UAN (Universal Account Number ) me add kar diya jata hai. 
                           PF Withdrawal, Pehle PF withdrawal karne me employee ko wo jis company me job karta hai us company ke upar nirbhar rehna padta tha, Us employee ko company se request karni hoti thi ki wo apna PF Withdrawal karna chahta hai or use karan bhi batana hota tha. Fir wo company kuch application form bhara kar uski KYC or Banking lekar government ke PF Office me jama karati thi. Fir uski jach karke PF Office us employee ka PF use cheque ke roop me bhej deta tha.
                          Ye Jankari humne aapko pehle hi di hai lekin ye janna aapke liye bahut jaruri hai isliye hum wapas se reminder kara rahe hai.
PF Withdrawal karne ke liye ab aap logo ko PF withdrawal karne se pehle Form-15G fill karna padega, Form -15G download karne ke liye Download par click kare. 

Chaliye aab aapko step by step batate hai

1. Sabse pehle PF ki website UAN par jaye or apna UAN No and Password se Sign In kare



2.  Online Service me jaye or click kare sabse pehla option apko dikhega CLAIM(FORM-31, 19 &10C) par click kare




3. Uske baad portal me bank account verify ke option me jana hoga ye wo account hoga jo apne pehle se UAN portal me update karaya hoga uske last ke 4 digit se verify karna hoga


4. Bank Account verification me apko Yes par click karna hoga


5. Jese hi bank account verify hoga ek form open hoga isme sabse pehle apko form 31 apply karna hoga isme apko kuch detail jese apka address or kitna amount nikalna hai ye fillup karna hoga sath me cheque copy or form 15G upload karna hoga.


6. Jese hi aap submit karege vese hi apke pass ek otp received us mobile number par jo adhaar card par register hai OTP verify karne par form submit ho jayega

7. Submit hone ke 7 working days par apke account me PF ka amount received ho jayega.
     Amount yadi 7 days par nhi milta hai to aap use track kar sakte hai iske liye Online service par TRACK CLAIM STATUS me jana hoga, is par apko pata chal jayega ki apke claim ka kya status hai.

Iske alawa or bhi koi doubt ho to aap hume contact kar sake hai ya hume comment me ja kar bata sakte hai kisi bhi problem ka jo bhi solution hoga apko de diya jayega.